Na Main Samjha Na Aap Aae Kahin Se

na main samjha na aap aae kahin se

pasina pochhiye apni jabin se

Tapakta hai pasina us jabin se

sitare jhaDte hain mah-e-mubin se

chali aati hai honTon par shikayat

nadamat Tapki paDti hai jabin se

main us barham-mizaji ke tasadduq

ulajhte hain wo zulf-e-ambarin se

basar karta raha hun zindagani

ta-tegh us nigah-e-sharmagin se

ye kis naqsh-e-qadam par jibah-sa hun

ki sar uThta nahin apna zamin se

tumhein ham-KHwab-dushman dekhta hun

uTha parda ye chaak-e-astin se

jahan madfun hain tere kushta-e-nar

yaqin hai hashr uThega wahin se

nahin ku-e-adu mein naqsh-e-pa tak

magar wo uD ke chalte hain zamin se

junun mein is ghazab ki KHak uDai

banaya aasman hum ne zamin se

gareban-gir hai yahan shauq-e-murdan

wo KHanjar to nikalen aastin se

kahan ki dil-lagi kaisi mohabbat

mujhe ek lag hai jaan-e-hazin se

do rangi ek ja un se na chhoTi

mujhe mara ada-e-mahr-o-kin se

ulaT dega jahan bismil taDap kar

sambhaalo dast-e-pa-e-naznin se

bajae shama julte hain sarapa

tumhaari bazm raushan hai hamin se

ghazab hi be-jigar tha bismil-e-shauq

ki ja lipTa tere fitrak-e-zin se

wo kuchh be-tabiyan bigDe se tewar

laDai mein maza hai us hasin se

udhar mara idhar mujh ko jilaya

lab-e-jaan-baKHsh wa chashm-e-KHashmagin se

na nikli us ke munh se aah tak bhi

jise mara nigah-e-sharmagin se

na dil qabu mein aur dil mein na ab sabr

khinchen kis bal pe hum us KHashmagin se

uThane ek qayamat baiThe hain wo

ghazab fitne laga lae kamin se

kami ki dast-e-qatil ne to bismil

baDhae dast-o-pa-e-naznin se

udhar lao zara dast-e-hinai

pakaD den chor dil ka hum yahin se

agar sach hai hasinon mein tilon

to hai ummid wasl un ki nahin se

ba-rang-e-bu nikalte hain karishme

tumhaari nargis-e-sahar-afrin se

jahannam hai mujhe gulzar-e-jannat

juda hun ek izar-e-atishin se

ye parde hain ba-shauq-e-didar

ye sari lan-tarani hai hamin se

jahan ko jalwa-gah-e-yar dekhen

jo nazara karen chashm-e-yaqin se

mujhe kya gham ki bar ulfat-e-ghair

na uTThega kabhi us naznin se

sananen chal rahi hain jaan-o-dil par

nigahen laD rahi hain ek hasin se

wahan aashiq-kushi hai ain-iman

unhen kya bahs 'anwar' kufr-o-din se

(2788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Main Samjha Na Aap Aae Kahin Se In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Na Main Samjha Na Aap Aae Kahin Se is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Na Main Samjha Na Aap Aae Kahin Se for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Na Main Samjha Na Aap Aae Kahin Se in PDF.