Nazar Aae Kya Mujhse Fani Ki Surat

nazar aae kya mujh se fani ki surat

ki pinhan hun dard-e-nihani ki surat

bana hun wo main na-tawani ki surat

ghazab hi khichi be-nishani ki surat

KHamoshi jo hai jqtiza-e-tabiat

to un ko mili be-dahani ki surat

nazar aae kya jalwa-e-husn baqi

ki parda hai duniya-e-fani ki surat

tum aur zikr-e-aghyar par chup rahoge

kahe deti hai be-dahani ki surat

hamare gale par to chalti dikhao

kahan tegh mein hai rawani ki surat

qayam apna us kucha mein pa-bigul hai

mile KHak mein hum to pani ki surat

gudaz-e-dil-e-tishna ka man ghazab hai

wo KHanjar na bah jae pani ki surat

barabar hai yahan bud-o-nabud apni

nishan hai mera be-nishani ki surat

araq-e-sharm se KHaksari mein hun main

hua KHak bhi main to pani ki surat

jo puchho to us chashm ka dekhna hai

wo hai gardish aasmani ki surat

Duboya mujhe aab mein sharm se wo

khaDe hain mere sar pe pani ki surat

numud apni waqe mein kuchh bhi nahin hai

yahan KHwab hai zindagani ki surat

wo dil ru-numai mein lete hain pahle

dikhate hain jab jaan-sitani ki surat

mujhe kushta dekha to qatil ne puchha

yaqin hai yahan bad-gumani ki surat

paDe mar ke miTne ko hum Thokaron mein

magar kaT gai zindagani ki surat

zaban par hai qasid ki apni rasai

hua hun payam zabani ki surat

mujassam hi mauhum aane mein un ke

nazar aati hai zindagani ki surat

tere wade par zist hai marg apni

bahut hi baDhi na-tawani ki surat

wo is shakl se meri baalin pe aae

ki ek aafat aasmani ki surat

nazar ban ke phirti hai aankhon mein apni

kisi aalam-e-naujawani ki surat

na ho rashk to kijiye wahan madh-e-dushman

ki hai yar ki raaz-dani ki surat

mujhe dekho aur us ke wade pe jina

ye hai zinda-e-jawedani ki surat

wahan bad-gumani ki tarif kya ho

yaqin ho jahan bad-gumani ki surat

nazar-soz wo ruKH wo inkar behad

magar hain wo ek lan-tarani ki surat

dikhate hain wo raKH se yun naz pinhan

ki alfaz jaise maani ki surat

yahan kya samai dam-e-tegh qatil

ki nazron mein hai saKHt jaani ki surat

jo naqsh-e-fana hon to wo dil pe 'anwar'

khinchi aur ek bad-gumani ki surat

(813) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nazar Aae Kya Mujhse Fani Ki Surat In English By Famous Poet Anwar Dehlvi. Nazar Aae Kya Mujhse Fani Ki Surat is written by Anwar Dehlvi. Read famous Poem Nazar Aae Kya Mujhse Fani Ki Surat for youth and Student by Anwar Dehlvi. Free Download Nazar Aae Kya Mujhse Fani Ki Surat in PDF.