Baaten Pagal Ho Jati Hain

meri band gali ke sare ghar

kitne ajib se lagte hain

mehrabi darwaze

jaise melancholia ki bimari mein

dhire dhire marte shaKHs ki

kich-bhari aankhen hun

aage baDhi hui balconiyan

jaise ahmaq aur hawannaq logon ki

laTki hui thoDiyan hoti hain

ek duje mein uljhe

baiThak aangan sone wale kamre

aur rasoiyan

sara yun lagta hai

jaise ek pagal ki gunjal sochen hon

un ke andar rahne wale

jaise

main bhi kya pagal hun

kya kya sochta rahta hun

(648) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baaten Pagal Ho Jati Hain In English By Famous Poet Anwar Fitrat. Baaten Pagal Ho Jati Hain is written by Anwar Fitrat. Read famous Poem Baaten Pagal Ho Jati Hain for youth and Student by Anwar Fitrat. Free Download Baaten Pagal Ho Jati Hain in PDF.