Dard Uruj Par Aa Jae To

aa ri mail kuchaili

bhuki nangi duniya

main ne ek din teri qimat

ek kam besh rupae rakkhi thi

apne kahe par aaj bahut sharminda hun

aa main tere sang

ek aaKHiri raqs karun

aag aur dhuen ki aamezish se

sidra-bos daraKHt banaen

aur phir us ke sae tale

hum garjile giton ki lai par

chhati se chhati Takraen

qadam se qadam milaen

kya itraata manzar hai

charchar karte mas ki boss mein

aawazon ka kya nayab KHazana hai

ye ek aisi simfani hai

jis mein KHauf nahin hai

dard uruj par aa jae to

KHauf kahan rahta hai

aah karah ka aisa sangam

lafzon mein kis ne bandha hai

jism-o-sada ke aise aise daere

ban jate hain jin mein

azali nir tak abad mughanni KHud bhi kho jate hain

aa hum chaaron samt mein

aag laga den

dariya aur samundar bhak se uDa den

KHud ko bhasm karen

ai ri duniya

teri karahat se mujh ko

kuchh ishq hi aisa hai

main marta hun

tu bhi mar ja

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Uruj Par Aa Jae To In English By Famous Poet Anwar Fitrat. Dard Uruj Par Aa Jae To is written by Anwar Fitrat. Read famous Poem Dard Uruj Par Aa Jae To for youth and Student by Anwar Fitrat. Free Download Dard Uruj Par Aa Jae To in PDF.