Qayam-gah Na Koi Na Koi Ghar Mera

qayam-gah na koi na koi ghar mera

azal se ta-ba-abad sirf ek safar mera

KHiraj mujh ko diya aane wali sadiyon ne

buland neze pe jab hi hua hai sar mera

ata hui hai mujhe din ke sath shab bhi magar

charag shab mein jila deta hai hunar mera

sabhi ke apne masail sabhi ki apni ana

pukarun kis ko jo de sath umr bhar mera

main gham ko khel samajhta raha hun bachpan se

bharam ye aaj bhi rakh lena chashm-e-tar mera

mere KHuda main teri rah jis ghaDi chhoDun

usi ghaDi se muqaddar ho dar-ba-dar mera

(1073) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qayam-gah Na Koi Na Koi Ghar Mera In English By Famous Poet Anwar Jalalpuri. Qayam-gah Na Koi Na Koi Ghar Mera is written by Anwar Jalalpuri. Read famous Poem Qayam-gah Na Koi Na Koi Ghar Mera for youth and Student by Anwar Jalalpuri. Free Download Qayam-gah Na Koi Na Koi Ghar Mera in PDF.