Paraya Kaun Hai Aur Kaun Apna Sab Bhula Denge

paraya kaun hai aur kaun apna sab bhula denge

mata-e-zindagi ek din hum bhi luTa denge

tum apne samne ki bhiD se ho kar guzar jao

ki aage wale to hargiz na tum ko rasta denge

jalae hain diye to phir hawaon par nazar rakkho

ye jhonke ek pal mein sab charaghon ko bujha denge

koi puchhega jis din waqai ye zindagi kya hai

zamin se ek muTThi KHak le kar hum uDa denge

gila shikwa hasad kina ke tohfe meri qismat hain

mere ahbab ab is se ziyaada aur kya denge

musalsal dhup mein chalna charaghon ki tarah jalna

ye hangame to mujh ko waqt se pahle thaka denge

agar tum aasman par ja rahe ho shauq se jao

mere naqsh-e-qadam aage ki manzil ka pata denge

(1483) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Paraya Kaun Hai Aur Kaun Apna Sab Bhula Denge In English By Famous Poet Anwar Jalalpuri. Paraya Kaun Hai Aur Kaun Apna Sab Bhula Denge is written by Anwar Jalalpuri. Read famous Poem Paraya Kaun Hai Aur Kaun Apna Sab Bhula Denge for youth and Student by Anwar Jalalpuri. Free Download Paraya Kaun Hai Aur Kaun Apna Sab Bhula Denge in PDF.