Main Har Be-jaan Harf-o-lafz Ko Goya Banata Hun

main har be-jaan harf-o-lafz ko goya banata hun

ki apne fan se patthar ko bhi aaina banata hun

main insan hun mera rishta 'brahim' aur 'azar' se

kabhi mandir kalisa aur kabhi kaba banata hun

meri fitrat kisi ka bhi taawun le nahin sakti

imarat apne gham-KHane ki main tanha banata hun

na jaane kyun adhuri hi mujhe taswir jachti hai

main kaghaz hath mein lekar faqat chehra banata hun

meri KHwahish ka koi ghar KHuda malum kab hoga

abhi to zehn ke parde pe bas naqsha banata hun

main apne sath rakhta hun sada aKHlaq ka paras

isi patthar se miTTi chhu ke main sona banata hun

(889) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Har Be-jaan Harf-o-lafz Ko Goya Banata Hun In English By Famous Poet Anwar Jalalpuri. Main Har Be-jaan Harf-o-lafz Ko Goya Banata Hun is written by Anwar Jalalpuri. Read famous Poem Main Har Be-jaan Harf-o-lafz Ko Goya Banata Hun for youth and Student by Anwar Jalalpuri. Free Download Main Har Be-jaan Harf-o-lafz Ko Goya Banata Hun in PDF.