Dard-e-dil Ki Dawa Hai Mah-e-nau

dard-e-dil ki dawa hai mah-e-nau

aasman par khila hai mah-e-nau

meri hi tarah tera bhi un se

kya koi wasta hai mah-e-nau

un ka chehra dikhai deta hai

kya koi aaina hai mah-e-nau

muskuraata hai dekh kar hum ko

jaise sab jaanta hai mah-e-nau

din ko sota hai wo na jaane kahan

raat ko jagta hai mah-e-nau

rah ke meri tarah se chup 'anwar'

jaane kya sochta hai mah-e-nau

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil Ki Dawa Hai Mah-e-nau In English By Famous Poet Anwar Jamal Anwar. Dard-e-dil Ki Dawa Hai Mah-e-nau is written by Anwar Jamal Anwar. Read famous Poem Dard-e-dil Ki Dawa Hai Mah-e-nau for youth and Student by Anwar Jamal Anwar. Free Download Dard-e-dil Ki Dawa Hai Mah-e-nau in PDF.