Raat Ka Kya Zikr Hai Sham-o-sahar Aaya Nahin

raat ka kya zikr hai sham-o-sahar aaya nahin

kaun sa ilzam hai jo mere sar aaya nahin

yun to rah-e-be-KHatar mein rahnuma milte rahe

pur-KHatar rahon mein koi rahbar aaya nahin

kaun jaane kis ke Dar se aaj phir mera rafiq

chahta tha mere ghar aana magar aaya nahin

is qadar qurbat baDhi har naqsh dhundla ho gaya

wo tha mere samne lekin nazar aaya nahin

dil ko kya kahiye ki wo qatil ke ghar KHud hi gaya

lakh koshish ki magar wo rah par aaya nahin

lakh andeshon ne 'anwar' gher rakkha hai mujhe

raat sar par aa gai aur nama-bar aaya nahin

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ka Kya Zikr Hai Sham-o-sahar Aaya Nahin In English By Famous Poet Anwar Jamal Anwar. Raat Ka Kya Zikr Hai Sham-o-sahar Aaya Nahin is written by Anwar Jamal Anwar. Read famous Poem Raat Ka Kya Zikr Hai Sham-o-sahar Aaya Nahin for youth and Student by Anwar Jamal Anwar. Free Download Raat Ka Kya Zikr Hai Sham-o-sahar Aaya Nahin in PDF.