Zamana Uf Ye Kaisa Ho Raha Hai

zamana uf ye kaisa ho raha hai

jo sidha tha wo ulTa ho raha hai

ab ahl-e-ilm mein tarikiyan hain

jahaalat mein sawera ho raha hai

wahan par zindagi kaise bachegi

jahan qatil masiha ho raha hai

bashar ka maqsad-e-taKHliq dekho

use hona tha kya kya ho raha hai

ye hai taqlid-e-maghrib ka natija

juda muslim se parda ho raha hai

hamari rast-goi kaam aai

wafa hona tha wada ho raha hai

jamal-e-fikr-o-fan ka tere 'anwar'

suKHan-danon mein charcha ho raha hai

(855) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zamana Uf Ye Kaisa Ho Raha Hai In English By Famous Poet Anwar Jamal Anwar. Zamana Uf Ye Kaisa Ho Raha Hai is written by Anwar Jamal Anwar. Read famous Poem Zamana Uf Ye Kaisa Ho Raha Hai for youth and Student by Anwar Jamal Anwar. Free Download Zamana Uf Ye Kaisa Ho Raha Hai in PDF.