Magar Meri Aankhon Mein

meinh barasta hai

aangan mein bundon ki rim-jhim mein

chiDiyan chahakti hui chaar-su

ghumti hain

chhaton par ghane kale baadal

bane dewta jhumte hain

sutunon se lipTi hui

surKH phulon ki belen

baraste hue meinh ki bauchhaar mein

apna joban nikhaare

machalti hain

aangan mein khulte hue KHali kamre

andhere ki bakal mein simTe hue

guzre waqton ki madira piye

unghte hain

KHamoshi

ghane baadalon ka andhera

hawa ke taDapte hue sard jhonkon mein

bundon ki rim-jhim

ye lagta hai

sadiyon se Thahra hua waqt

mausam ke nashe mein be-KHud hua hai

magar meri aankhon mein

sawan ki guzri hui rut ke lamhe

jali ghas ki pattiyan ban ke chubhte hain

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Magar Meri Aankhon Mein In English By Famous Poet Anwar Maqsood Zahidi. Magar Meri Aankhon Mein is written by Anwar Maqsood Zahidi. Read famous Poem Magar Meri Aankhon Mein for youth and Student by Anwar Maqsood Zahidi. Free Download Magar Meri Aankhon Mein in PDF.