Dard BaDhta Hi Rahe Aisi Dawa De Jao

dard baDhta hi rahe aisi dawa de jao

kuchh na kuchh meri wafaon ka sala de jao

yun na jao ki main ro bhi na sakun furqat mein

meri raaton ko sitaron ki ziya de jao

ek bar aao kabhi itne achanak-pan se

na-umidi ko tahayyur ki saza de jao

dushmani ka koi pairaya-e-nadir DhunDo

jab bhi aao mujhe jine ki dua de jao

wahi iKHlas-o-murawwat ki purani tohmat

dosto koi to ilzam naya de jao

koi sahra bhi agar rah mein aae 'anwar'

dil ye kahta hai ki ek bar sada de jao

(2351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard BaDhta Hi Rahe Aisi Dawa De Jao In English By Famous Poet Anwar Masood. Dard BaDhta Hi Rahe Aisi Dawa De Jao is written by Anwar Masood. Read famous Poem Dard BaDhta Hi Rahe Aisi Dawa De Jao for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Dard BaDhta Hi Rahe Aisi Dawa De Jao in PDF.