Darmiyan Gar Na Tera Wada-e-farda Hota

darmiyan gar na tera wada-e-farda hota

kis ko manzur ye zahr-e-gham-e-duniya hota

kya qayamat hai ki ab main bhi nahin wo bhi nahin

dekhna tha to use dur se dekha hota

kasa-e-zaKHm-talab le ke chala hun KHali

sang-reza hi koi aap ne phenka hota

falsafa sar-ba-gareban hai baDi muddat se

kuchh na hota to KHuda jaane ki phir kya hota

hum bhi nau-KHez shuaon ki balaen lete

apne zindan mein agar koi daricha hota

aap ne haal-e-dil-e-zar to puchha lekin

puchhna tha to koi us ka mudawa hota

dast-e-muflis se tahi-tar hai safina 'anwar'

is pahunchne se to sahil pe na pahuncha hota

(1895) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darmiyan Gar Na Tera Wada-e-farda Hota In English By Famous Poet Anwar Masood. Darmiyan Gar Na Tera Wada-e-farda Hota is written by Anwar Masood. Read famous Poem Darmiyan Gar Na Tera Wada-e-farda Hota for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Darmiyan Gar Na Tera Wada-e-farda Hota in PDF.