Duniya Bhi Ajab Qafila-e-tishna-laban Hai

duniya bhi ajab qafila-e-tishna-laban hai

har shaKHs sarabon ke taaqub mein rawan hai

tanha teri mahfil mein nahin hun ki mere sath

ek lazzat-e-pabandi-e-izhaar-o-bayan hai

haq baat pe hai zahar bhare jam ki tazir

ai ghairat-e-iman lab-e-suqraat kahan hai

kheton mein samati nahin phuli hui sarson

baghon mein abhi tak wahi hangam-e-KHizan hai

ehsas mera hijr-gazida hai azal se

kya mujh ko agar koi qarib-e-rag-e-jaan hai

jo dal ke samundar se ubharta hai yaqin hai

jo zehan ke sahil se guzarta hai guman hai

phulon pe ghaTaon ke to sae nahin 'anwar'

aawara-e-gulzar nasheman ka dhuan hai

(2127) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duniya Bhi Ajab Qafila-e-tishna-laban Hai In English By Famous Poet Anwar Masood. Duniya Bhi Ajab Qafila-e-tishna-laban Hai is written by Anwar Masood. Read famous Poem Duniya Bhi Ajab Qafila-e-tishna-laban Hai for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Duniya Bhi Ajab Qafila-e-tishna-laban Hai in PDF.