Is Ibtida Ki Saliqe Se Intiha Karte

is ibtida ki saliqe se intiha karte

wo ek bar mile the to phir mila karte

kiwaD garche muqaffal the us haweli ke

magar faqir guzarte rahe sada karte

hamein qarina-e-ranjish kahan mayassar hai

hum apne bas mein jo hote tera gila karte

teri jafa ka falak se na tazkira chheDa

hunar ki baat kisi kam-hunar se kya karte

tujhe nahin hai abhi fursat-e-karam na sahi

thake nahin hain mere hath bhi dua karte

unhen shikayat-e-be-rabti-e-suKHan thi magar

jhijak raha tha main izhaar-e-muddaa karte

chiqen giri thin darichon pe chaar su 'anwar'

nazar jhuka ke na chalte to aur kya karte

(4547) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Ibtida Ki Saliqe Se Intiha Karte In English By Famous Poet Anwar Masood. Is Ibtida Ki Saliqe Se Intiha Karte is written by Anwar Masood. Read famous Poem Is Ibtida Ki Saliqe Se Intiha Karte for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Is Ibtida Ki Saliqe Se Intiha Karte in PDF.