Kab Ziya-bar Tera Chehra-e-zeba Hoga

kab ziya-bar tera chehra-e-zeba hoga

kya jab aankhen na rahengi to ujala hoga

mashghala us ne ajab saunp diya hai yaro

umr bhar sochte rahiye ki wo kaisa hoga

jaane kis rang se ruThegi tabiat us ki

jaane kis Dhang se ab us ko manana hoga

is taraf shahr udhar Dub raha tha suraj

kaun sailab ke manzar pe na roya hoga

yahi andaz-e-tijarat hai to kal ka tajir

barf ke baT liye dhup mein baiTha hoga

dekhna haal zara ret ki diwaron ka

jab chali tez hawa ek tamasha hoga

aastinon ki chamak ne hamein mara 'anwar'

hum to KHanjar ko bhi samjhe yad-e-baiza hoga

(2198) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Ziya-bar Tera Chehra-e-zeba Hoga In English By Famous Poet Anwar Masood. Kab Ziya-bar Tera Chehra-e-zeba Hoga is written by Anwar Masood. Read famous Poem Kab Ziya-bar Tera Chehra-e-zeba Hoga for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Kab Ziya-bar Tera Chehra-e-zeba Hoga in PDF.