Kaisi Kaisi Aayaten Mastur Hain Nuqte Ke Bich

kaisi kaisi aayaten mastur hain nuqte ke bich

kya ghane jangal chhupe baiThe hain ek dane ke bich

rafta rafta raKHna raKHna ho gai miTTi ki gend

ab KHalijon ke siwa kya rah gaya naqshe ke bich

main to bahar ke manazir se abhi farigh nahin

kya KHabar hai kaun se asrar hain parde ke bich

ai dil-e-nadan kisi ka ruThna mat yaad kar

aan Tapkega koi aansu bhi is jhagDe ke bich

sare aKHbaron mein dekhun haal apne burj ka

ab mulaqat us se hogi kaun se hafte ke bich

main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghaDi

waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich

(2135) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisi Kaisi Aayaten Mastur Hain Nuqte Ke Bich In English By Famous Poet Anwar Masood. Kaisi Kaisi Aayaten Mastur Hain Nuqte Ke Bich is written by Anwar Masood. Read famous Poem Kaisi Kaisi Aayaten Mastur Hain Nuqte Ke Bich for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Kaisi Kaisi Aayaten Mastur Hain Nuqte Ke Bich in PDF.