Kyun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne

kyun kisi aur ko dukh dard sunaun apne

apni aankhon se bhi main zaKHm chhupaun apne

main to qaem hun tere gham ki badaulat warna

yun bikhar jaun ki KHud hath na aaun apne

sher logon ke bahut yaad hain auron ke liye

tu mile to main tujhe sher sunaun apne

tere raste ka jo kanTa bhi mayassar aae

main use shauq se collar par sajaun apne

sochta hun ki bujha dun mein ye kamre ka diya

apne sae ko bhi kyun sath jagaun apne

us ki talwar ne wo chaal chali hai ab ke

panw kaTte hain agar hath bachaun apne

aaKHiri baat mujhe yaad hai us ki 'anwar'

jaane wale ko gale se na lagaun apne

(3541) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kyun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne In English By Famous Poet Anwar Masood. Kyun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne is written by Anwar Masood. Read famous Poem Kyun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Kyun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne in PDF.