Main Dekh Bhi Na Saka Mere Gird Kya Gaya Tha

main dekh bhi na saka mere gird kya gaya tha

ki jis maqam pe main tha wahan ujala tha

durust hai ki wo jangal ki aag thi lekin

wahin qarib hi dariya bhi ek guzarta tha

tum aa gae to chamakne lagi hain diwaren

abhi abhi to yahan par baDa andhera tha

labon pe KHair tabassum bikhar bikhar hi gaya

ye aur baat ki hansne ko dil tarasta tha

suna hai log bahut se mile the raste mein

meri nazar se to bas ek shaKHs guzra tha

ulajh paDi thi muqaddar se aarzu meri

dam-e-firaq use rokna bhi chaha tha

mahak raha hai chaman ki tarah wo aaina

ki jis mein tu ne kabhi apna rup dekha tha

ghaTa uThi hai to phir yaad aa gaya 'anwar'

ajib shaKHs tha akasr udas rahta tha

(2310) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Dekh Bhi Na Saka Mere Gird Kya Gaya Tha In English By Famous Poet Anwar Masood. Main Dekh Bhi Na Saka Mere Gird Kya Gaya Tha is written by Anwar Masood. Read famous Poem Main Dekh Bhi Na Saka Mere Gird Kya Gaya Tha for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Main Dekh Bhi Na Saka Mere Gird Kya Gaya Tha in PDF.