Sar-dard Mein Goli Ye BaDi Zud-asar Hai

sar-dard mein goli ye baDi zud-asar hai

par thoDa sa nuqsan bhi ho sakta hai is se

ho sakti hai paida koi tabKHir ki surat

dil tang o pareshan bhi ho sakta hai is se

ho sakti hai kuchh saql-e-samaat ki shikayat

be-kar koi kan bhi ho sakta hai is se

mumkin hai KHarabi koi ho jae jigar mein

han aap ko yarqan bhi ho sakta hai is se

paD sakti hai kuchh jild-KHarashi ki zarurat

KHarish ka kuchh imkan bhi ho sakta hai is se

ho sakti hain yaaden bhi zara is se mutassir

mamuli sa nisyan bhi ho sakta hai is se

ho sakta hai lahaq koi pechida maraz bhi

gurda koi viran bhi ho sakta hai is se

mumkin hai ki ho jae nasha is se ziyaada

phir aap ka chaalan bhi ho sakta hai is se

(3686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sar-dard Mein Goli Ye BaDi Zud-asar Hai In English By Famous Poet Anwar Masood. Sar-dard Mein Goli Ye BaDi Zud-asar Hai is written by Anwar Masood. Read famous Poem Sar-dard Mein Goli Ye BaDi Zud-asar Hai for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Sar-dard Mein Goli Ye BaDi Zud-asar Hai in PDF.