Raat Aai Hai Balaon Se Rihai Degi

raat aai hai balaon se rihai degi

ab na diwar na zanjir dikhai degi

waqt guzra hai pa mausam nahin badla yaro

aisi gardish hai zamin KHud bhi duhai degi

ye dhundlaka sa jo hai is ko ghanimat jaano

dekhna phir koi surat na sujhai degi

dil jo TuTega to ek tarfa charaghan hoga

kitne aainon mein wo shakl dikhai degi

sath ke ghar mein tera shor bapa hai 'anwar'

koi aaega to dastak na sunai degi

(2287) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Aai Hai Balaon Se Rihai Degi In English By Famous Poet Anwar Masood. Raat Aai Hai Balaon Se Rihai Degi is written by Anwar Masood. Read famous Poem Raat Aai Hai Balaon Se Rihai Degi for youth and Student by Anwar Masood. Free Download Raat Aai Hai Balaon Se Rihai Degi in PDF.