PaDhne Bhi Na Pae The Ki Wo MiT Bhi Gai Thi

paDhne bhi na pae the ki wo miT bhi gai thi

bijli ne ghaTaon pe jo tahrir likhi thi

chup sadh ke baiThe the sabhi log wahan par

parde pe jo taswir thi kuchh bol rahi thi

lahraate hue aae the wo amn ka parcham

parcham ko uThae hue neze ki ani thi

Dube hue taron pe main kya ashk bahata

chaDhte hue suraj se meri aankh laDi thi

is waqt wahan kaun dhuan dekhne jae

aKHbar mein paDh lenge kahan aag lagi thi

shabnam ki tarawish se bhi dukhta tha dil-e-zar

ghanghor ghaTaon ko barasne ki paDi thi

palkon ke sitare bhi uDa le gai 'anwar'

wo dard ki aandhi ki sar-e-sham chali thi

(2164) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PaDhne Bhi Na Pae The Ki Wo MiT Bhi Gai Thi In English By Famous Poet Anwar Masood. PaDhne Bhi Na Pae The Ki Wo MiT Bhi Gai Thi is written by Anwar Masood. Read famous Poem PaDhne Bhi Na Pae The Ki Wo MiT Bhi Gai Thi for youth and Student by Anwar Masood. Free Download PaDhne Bhi Na Pae The Ki Wo MiT Bhi Gai Thi in PDF.