BaDe Sukun Se KHud Apne Ham-saron Mein Rahe

baDe sukun se KHud apne ham-saron mein rahe

jab aaina-sifat insan pattharon mein rahe

bhala wo kaise jaraem ke hath kaTenge

jo sahme simTe se KHud apne bistaraon mein rahe

nafas nafas tha bikharne ka silsila jari

barae nam hi mahfuz hum gharon mein rahe

hamari nukta-rasi is qadar giran guzri

ki ban ke KHar hamesha nazar-waron mein rahe

sahife fikr-o-nazar ke jo de gae tartib

wahi to sher-o-suKHan ke payambaron mein rahe

uThae dosh pe maslub hasraton ki lash

hum apne shahr ke KHun-bar manzaron mein rahe

tarash kar nai tahzib ke sanam hum log

ba-sad waqar zamane ke aazaron mein rahe

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaDe Sukun Se KHud Apne Ham-saron Mein Rahe In English By Famous Poet Anwar Minai. BaDe Sukun Se KHud Apne Ham-saron Mein Rahe is written by Anwar Minai. Read famous Poem BaDe Sukun Se KHud Apne Ham-saron Mein Rahe for youth and Student by Anwar Minai. Free Download BaDe Sukun Se KHud Apne Ham-saron Mein Rahe in PDF.