Gum Kar Den Ek Zara Tujhe KHwabon Ke Shahr Mein

gum kar den ek zara tujhe KHwabon ke shahr mein

nukte kuchh aise DhunD kitabon ke shahr mein

diwangi ki aisi milegi kahan misal

kanTe KHaridta hun gulabon ke shahr mein

aaine bolte hain to ye bhi bataenge

kya be-hijab hun main hijabon ke shahr mein

nakaamiyon ki aag mein tapti hain KHwahishen

jalti hai meri ruh azabon ke shahr mein

is ahd-e-na-shanas mein iKHlas ki talab

gauhar ki justuju hai hababon ke shahr mein

har manzar-e-hasin pe hai ek chadar-e-ghubar

kya main bhaTak raha hun sarabon ke shahr mein

'anwar' hamein to aaj bhi fikr-o-nigah ke

bosida ghar mile hain nisabon ke shahr mein

(646) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gum Kar Den Ek Zara Tujhe KHwabon Ke Shahr Mein In English By Famous Poet Anwar Minai. Gum Kar Den Ek Zara Tujhe KHwabon Ke Shahr Mein is written by Anwar Minai. Read famous Poem Gum Kar Den Ek Zara Tujhe KHwabon Ke Shahr Mein for youth and Student by Anwar Minai. Free Download Gum Kar Den Ek Zara Tujhe KHwabon Ke Shahr Mein in PDF.