Har Manzar-e-KHush-rang Sulag Jae To Kya Ho

har manzar-e-KHush-rang sulag jae to kya ho

shabnam bhi agar aag hi barsae to kya ho

ehsas ki qindil se azhan hain raushan

lekin ye ujala bhi jo kajlae to kya ho

suraj ki tamazat se jhulas jati hai duniya

suraj mere qadmon pe utar aae to kya ho

zar-tabi-e-afkar to pahle hi se hai mand

alfaz ka aaina bhi dhundlae to kya ho

main jab bhi likhun waqt ke KHun-rez fasane

hathon main qalam chhuT ke rah jae to kya ho

be-KHwab nigahon ke ufaq par jo aachanak

dhundla sa koi chand ubhar aae to kya ho

(706) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Manzar-e-KHush-rang Sulag Jae To Kya Ho In English By Famous Poet Anwar Minai. Har Manzar-e-KHush-rang Sulag Jae To Kya Ho is written by Anwar Minai. Read famous Poem Har Manzar-e-KHush-rang Sulag Jae To Kya Ho for youth and Student by Anwar Minai. Free Download Har Manzar-e-KHush-rang Sulag Jae To Kya Ho in PDF.