MaKHmali KHwab Ka Aankhon Mein Na Manzar Phaila

maKHmali KHwab ka aankhon mein na manzar phaila

zahr hi zahr mere jism ke andar phaila

sabz mausam mein bhi ho jis ki shabahat pili

is chaman mein kahin shoale kahin patthar phaila

KHaufnaki asar-andaz hua karti hai

is ko aKHbar ki manind na ghar ghar phaila

ho ye mumkin to mere jism ke andar bhi utar

reza reza mujhe har samt barabar phaila

iKHtiraat ke bais hi jahan mein ab tak

nae ehsas ka be-payan samundar phaila

wajh-e-taklif na ban jae KHala ki KHwahish

ab uDanon ke liye par na kabutar phaila

lakh suraj ki inayat rahen mere sath

mera saya na mere qad ke barabar phaila

(739) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

MaKHmali KHwab Ka Aankhon Mein Na Manzar Phaila In English By Famous Poet Anwar Minai. MaKHmali KHwab Ka Aankhon Mein Na Manzar Phaila is written by Anwar Minai. Read famous Poem MaKHmali KHwab Ka Aankhon Mein Na Manzar Phaila for youth and Student by Anwar Minai. Free Download MaKHmali KHwab Ka Aankhon Mein Na Manzar Phaila in PDF.