Mahfuz Rahega Kya Ehsas Ka Aaina

mahfuz rahega kya ehsas ka aaina

patthar ke muqabil hai almas ka aaina

ab chehra-e-mazi bhi pahchana nahin jata

yun TuT ke bikhra hai itihas ka aaina

mafhum to mabni hai qari ki basirat par

alfaz se raushan hai qirtas ka aaina

is ahd mein rishton ki be-rang dukanon mein

hire se bhi mahnga hai wishwas ka aaina

is shahr mein yun phaili aazar ki parchhain

har shaKHs ka chehra hai ab yas ka aaina

(723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahfuz Rahega Kya Ehsas Ka Aaina In English By Famous Poet Anwar Minai. Mahfuz Rahega Kya Ehsas Ka Aaina is written by Anwar Minai. Read famous Poem Mahfuz Rahega Kya Ehsas Ka Aaina for youth and Student by Anwar Minai. Free Download Mahfuz Rahega Kya Ehsas Ka Aaina in PDF.