KHwab Bikhrenge To Hum Ko Bhi Bikharna Hoga

KHwab bikhrenge to hum ko bhi bikharna hoga

shab ki ek ek aziyyat se guzarna hoga

wo hamare hi rag-o-pai mein nihan rahta hai

is ki tasdiq to ek din hamein karna hoga

apne KHakistar-e-tan ko liye kuche kuche

kya hawaon ki tarah mujh ko guzarna hoga

hamein ahbab ki be-laus rifaqat ke sabab

waqt aaega to be-maut bhi marna hoga

honge sahraon ke sannaTe nazar ki had mein

koi wadi na koi KHwab na jharna hoga

aaina aaina KHud sari dishaen hongi

aks-dar-aks magar hum ko ubharna hoga

chiKHte KHwabon ki tabir yahi kahti hai

hogi haDtal kahin to kahin dharna hoga

(878) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Bikhrenge To Hum Ko Bhi Bikharna Hoga In English By Famous Poet Anwar Minai. KHwab Bikhrenge To Hum Ko Bhi Bikharna Hoga is written by Anwar Minai. Read famous Poem KHwab Bikhrenge To Hum Ko Bhi Bikharna Hoga for youth and Student by Anwar Minai. Free Download KHwab Bikhrenge To Hum Ko Bhi Bikharna Hoga in PDF.