Har Sans Mein KHud Apne Na Hone Ka Guman Tha

har sans mein KHud apne na hone ka guman tha

wo samne aae to mujhe hosh kahan tha

karti hain ulaT-pher yunhi un ki nigahen

kaba hai wahin aaj sanam-KHana jahan tha

taqsir-e-nazar dekhne walon ki hai warna

un ka koi jalwa na ayan tha na nihan tha

badli jo zara chashm-e-mashiyat koi dam ko

har samt bapa mahshar-e-fariyaad-o-fughan tha

lapka hai bagula sa abhi un ki taraf ko

shayad kisi majbur ki aahon ka dhuan tha

'anwar' mere kaam aai qayamat mein nidamat

rahmat ka taqaza mera har ashk-e-rawan tha

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Sans Mein KHud Apne Na Hone Ka Guman Tha In English By Famous Poet Anwar Sabri. Har Sans Mein KHud Apne Na Hone Ka Guman Tha is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Har Sans Mein KHud Apne Na Hone Ka Guman Tha for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Har Sans Mein KHud Apne Na Hone Ka Guman Tha in PDF.