Ishq Mukammal KHwab-e-pareshan

ishq mukammal KHwab-e-pareshan

husn hama tabir-e-gurezan

qatre mein dariya ki samai

dard-e-do-alam ek dil-e-insan

ishq ba-har andaz-e-tajalli

larzan larzan raqsan raqsan

ishq ba-rang-e-shola-o-shabnam

sozish-e-pinhan ashk numayan

meri nigah-e-fikr mein 'anwar'

ishq fasana husn hai uryan

(994) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mukammal KHwab-e-pareshan In English By Famous Poet Anwar Sabri. Ishq Mukammal KHwab-e-pareshan is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Ishq Mukammal KHwab-e-pareshan for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Ishq Mukammal KHwab-e-pareshan in PDF.