Kuchh Abruon Pe Bal Bhi Hain KHanda-labi Ke Sath

kuchh abruon pe bal bhi hain KHanda-labi ke sath

farma rahe hain jaur magar dil-kashi ke sath

shamil ho gar na gham ki KHalish zindagi ke sath

rakkhe na koi rabt-e-mohabbat kisi ke sath

is ehtimam-e-jashn-e-mashiyyat ko kya kahun

paida kiya hai dard dil-e-admi ke sath

jine na den hayat ki paiham shararten

insan jo KHud sharir na ho zindagi ke sath

har gam par hai laghzish-e-pa ka bhi ek KHatar

chaliye rah-e-wafa mein salamat-rawi ke sath

mumkin hai mil hi jae maqam-e-sukun kahin

ta marg ham-rikab raho zindagi ke sath

ba-wasf-e-zikr-e-kausar-o-tasnim kis liye

waiz ko zid hai mashghala-e-mai-kashi ke sath

malum us ki talKHi-e-anjam hai magar

'anwar' bila KHulus na miliye kisi ke sath

(796) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Abruon Pe Bal Bhi Hain KHanda-labi Ke Sath In English By Famous Poet Anwar Sabri. Kuchh Abruon Pe Bal Bhi Hain KHanda-labi Ke Sath is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Kuchh Abruon Pe Bal Bhi Hain KHanda-labi Ke Sath for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Kuchh Abruon Pe Bal Bhi Hain KHanda-labi Ke Sath in PDF.