Lab Pe KanTon Ke Hai Fariyaad-o-buka Mere Baad

lab pe kanTon ke hai fariyaad-o-buka mere baad

koi aaya hi nahin aabla-pa mere baad

mere dam tak hi raha rabt-e-nasim o ruKH-e-gul

nikhat-amez nahin mauj-e-saba mere baad

ab na wo rang-e-jabin hai na bahaar-e-ariz

lala-ruyon ka ajab haal hua mere baad

chand sukhe hue patte hain chaman mein raqsan

hae beganagi-e-ab-o-hawa mere baad

munh dhulati nahin ghunchon ka urus-e-shabnam

gard-alud hai kaliyon ki qaba mere baad

aadmiyyat-shikni bhi to nahin kam 'anwar'

Dar hai kuchh aur na ho is ke siwa mere baad

(755) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lab Pe KanTon Ke Hai Fariyaad-o-buka Mere Baad In English By Famous Poet Anwar Sabri. Lab Pe KanTon Ke Hai Fariyaad-o-buka Mere Baad is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Lab Pe KanTon Ke Hai Fariyaad-o-buka Mere Baad for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Lab Pe KanTon Ke Hai Fariyaad-o-buka Mere Baad in PDF.