Nigah-o-dil Se Guzri Dastan Tak Baat Ja Pahunchi

nigah-o-dil se guzri dastan tak baat ja pahunchi

mere honTon se nikli aur kahan tak baat ja pahunchi

bahe aansu zamin par aasman tak baat ja pahunchi

kahi zarron se lekin kahkashan tak baat ja pahunchi

abhi hai iKHtilaf-e-jam-o-mina raaz ki had tak

na-jaane kya ho gar pir-o-mughan tak baat ja pahunchi

raqibon ne yunhi dawa kiya tha jaan-nisari ka

magar meri badaulat imtihan tak baat ja pahunchi

samajhte the rahegi zindagi mahdud-e-gul-bulbul

magar taKHrib-e-nazm-e-gulistan tak baat ja pahunchi

chhiDa tha bazm mein kal tazkira mizhgan-o-abru ka

baDhi kuchh is qadar tegh-o-sinan tak baat ja pahunchi

maal-e-jurm-e-taqsim-e-watan kya kam tha rone ko

ki ab fikr-o-malal-e-ashiyan tak baat ja pahunchi

chhupa rakha tha jis ko muddaton se dil mein ai 'anwar'

hazar afsos wo sharh-o-bayan tak baat ja pahunchi

(1033) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nigah-o-dil Se Guzri Dastan Tak Baat Ja Pahunchi In English By Famous Poet Anwar Sabri. Nigah-o-dil Se Guzri Dastan Tak Baat Ja Pahunchi is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Nigah-o-dil Se Guzri Dastan Tak Baat Ja Pahunchi for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Nigah-o-dil Se Guzri Dastan Tak Baat Ja Pahunchi in PDF.