TalKHaba-e-gham KHanda-jabin Ho Ke Piye Ja

talKHaba-e-gham KHanda-jabin ho ke piye ja

mauhum umidon ke sahaaron pe jiye ja

mayus na ho be-ruKHi-e-chashm-e-jahan se

shaista-e-ehsas koi kaam kiye ja

shikwa na kar is daur-e-junun-zad ka koi

taqdir-e-KHirad-soz ko ilzam diye ja

auron ko gareban ki tujhe fikr hi kyun ho

tu apni hi sad-chaaki-e-daman ko siye ja

har lamha taghayyur pe nigahon ko jamae

tu jaiza-e-gardish-e-ayyam liye ja

is jabr-e-mashiyyat ko to sahna hi paDega

be-kaif sahi un ke ishaaron pe jiye ja

saqi ki nazar se koi nisbat hai to 'anwar'

pine ki ada ye bhi hai be-jam piye ja

(899) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TalKHaba-e-gham KHanda-jabin Ho Ke Piye Ja In English By Famous Poet Anwar Sabri. TalKHaba-e-gham KHanda-jabin Ho Ke Piye Ja is written by Anwar Sabri. Read famous Poem TalKHaba-e-gham KHanda-jabin Ho Ke Piye Ja for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download TalKHaba-e-gham KHanda-jabin Ho Ke Piye Ja in PDF.