Tasawwur Ke Sahaare Yun Shab-e-gham KHatm Ki Maine

tasawwur ke sahaare yun shab-e-gham KHatm ki main ne

jahan dil ki KHalish ubhri tumhein aawaz di main ne

talab ki rah mein kha kar shikast-e-agahi main ne

junun ki kaamyabi par mubarakbaad di main ne

dam-e-aKHir bahut achchha kiya tashrif le aae

salam-e-ruKHsatana ko pukara tha abhi main ne

zaban se jab na kuchh yara-e-sharh-e-arzu paya

nigahon se huzur-e-husn aksar baat ki main ne

nasheman ko bhi ek partaw qafas ka jaan kar 'anwar'

basa-auqat ki hai bijliyon ki rahbari main ne

(1008) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasawwur Ke Sahaare Yun Shab-e-gham KHatm Ki Maine In English By Famous Poet Anwar Sabri. Tasawwur Ke Sahaare Yun Shab-e-gham KHatm Ki Maine is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Tasawwur Ke Sahaare Yun Shab-e-gham KHatm Ki Maine for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Tasawwur Ke Sahaare Yun Shab-e-gham KHatm Ki Maine in PDF.