Zulmaton Mein Raushni Ki Justuju Karte Raho

zulmaton mein raushni ki justuju karte raho

zindagi bhar zindagi ki justuju karte raho

jis pe ho saqi ba-zom-e-hosh-mandi bhi fida

us mukammal be-KHudi ki justuju karte raho

be-junun chalta nahin hai kar-e-tamir-e-hayat

hosh walo aagahi ki justuju karte raho

aadmiyat ke siwa jis ka koi maqsad na ho

umr bhar us aadmi ki justuju karte raho

shart-e-irfan-e-KHuda 'anwar' hai KHud apni talash

yun to karne ko kisi ki justuju karte raho

(1034) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulmaton Mein Raushni Ki Justuju Karte Raho In English By Famous Poet Anwar Sabri. Zulmaton Mein Raushni Ki Justuju Karte Raho is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Zulmaton Mein Raushni Ki Justuju Karte Raho for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Zulmaton Mein Raushni Ki Justuju Karte Raho in PDF.