Aazadi Ke Diwane

hum aazadi ke diwane ye duniya farzanon ki

is papi sansar mein baba kaun sune diwanon ki

masjid mandir sab ke andar raj ghulami karti hai

daulat le kar nam KHuda ka ghar ghar dharna dharti hai

koThi bangle gore sanpon ki ek aisi basti hai

jo bhaarat ke bhole-bhaale insanon ko Dasti hai

un se bach kar chalna baba ye qatil zahrile hain

surat ke mohan hain bhitar se sab nile pile hain

shaida hun aazadi ka aazad-nagar mein Dera hai

kya batlaun mere bhayya kaun jahan mein mera hai

wo mera jo aazadi ki zulfon ka diwana hai

wo mera jo sham-e-watan ka shaidai parwana hai

wo mera jo maut ke aage be-jigari se tanta hai

wo mera jo aap na ho kuchh jis ki sab kuchh janta hai

wo mera jo hanste hanste phansi par chaDh jata hai

wo mera jo maut se bhi do chaar qadam baDh jata hai

aazadi ke talib sun le maut hi meri manzil hai

tu duniya ka ban sakta hai mera banna mushkil hai

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazadi Ke Diwane In English By Famous Poet Anwar Sabri. Aazadi Ke Diwane is written by Anwar Sabri. Read famous Poem Aazadi Ke Diwane for youth and Student by Anwar Sabri. Free Download Aazadi Ke Diwane in PDF.