Ahd-e-hazir Ek Machine Aur Us Ka Karinda Hun Main

ahd-e-hazir ek machine aur us ka karinda hun main

reza reza ruh meri hai magar zinda hun main

main hun wo lamha jo muTThi mein sama sakta nahin

pal mein hun imroz-o-mazi pal mein aainda hun main

wo jo mujh ko phenk aae bheDiyon ke samne

kya gila-shikwa ki un se aap sharminda hun main

mere lafzon mein agar tab-o-tawanai nahin

ai KHuda kyun dahr mein tera numainda hun main

main jo kahta hun samajhta hi nahin koi use

jaise malbe mein dabi basti ka bashinda hun main

mere chehre par munaqqash is tarah tariKH hai

jaise ek kohna ajaib ghar ka bashinda hun main

KHak hun lekin sarapa nur hai mera wajud

is zamin par chand suraj ka numainda hun main

is jahan mein main hi masjud-e-malaik tha 'sadid'

is jahan mein aaj ke insan se sharminda hun main

(650) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahd-e-hazir Ek Machine Aur Us Ka Karinda Hun Main In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Ahd-e-hazir Ek Machine Aur Us Ka Karinda Hun Main is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Ahd-e-hazir Ek Machine Aur Us Ka Karinda Hun Main for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Ahd-e-hazir Ek Machine Aur Us Ka Karinda Hun Main in PDF.