Aarzu Thi Ye Bikheren Apni Kirnen Subh Tak

aarzu thi ye bikheren apni kirnen subh tak

rote rote bujh gai hain sari shamen subh tak

shab ki muTThi mein parindon ki tarah wo so gain

ho gain zinda hatheli par lakiren subh tak

waqt ki guzri ibarat ki tilawat ke liye

raat ki tanhaiyon mein aao ghumen subh tak

din ka suraj un pe likkhega anokhe tabsire

hum ne jo talif kin dil par kitaben subh tak

zindagi ke raston mein jo kahin gum ho gae

DhunDti ab un ko hain KHwabon mein aankhen subh tak

aashiyanon mein na jab lauTe parinde to 'sadid'

dur tak takti rahin shaKHon mein aankhen subh tak

(752) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Aarzu Thi Ye Bikheren Apni Kirnen Subh Tak In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Aarzu Thi Ye Bikheren Apni Kirnen Subh Tak is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Aarzu Thi Ye Bikheren Apni Kirnen Subh Tak for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Aarzu Thi Ye Bikheren Apni Kirnen Subh Tak in PDF.