Had-e-nazar Se Mera Aasman Hai Poshida

had-e-nazar se mera aasman hai poshida

KHayal-o-KHwab mein lipTa jahan hai poshida

chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum

yaqin guman mein gum hai guman hai poshida

palak pe aa ke sitare ne dastan kah di

jo dil mein aag hai us ka dhuan hai poshida

ufuq se ta-ba-ufuq hai sarab phaila hua

aur is sarab mein sara jahan hai poshida

sitara kya mujhe aflak ki KHabar dega?

nazar se us ki to mera jahan hai poshida

tu KHud hai KHar-o-zabun hirs-o-az-e-duniya mein

khulega tujh pe kahan jo jahan hai poshida

main aankh khol ke takta hun dur tak 'anwar'

ki DhunD lun jo mera aashiyan hai poshida

(1397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Had-e-nazar Se Mera Aasman Hai Poshida In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Had-e-nazar Se Mera Aasman Hai Poshida is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Had-e-nazar Se Mera Aasman Hai Poshida for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Had-e-nazar Se Mera Aasman Hai Poshida in PDF.