Har Samt Samundar Hai Har Samt Rawan Pani

har samt samundar hai har samt rawan pani

chhagal hai meri KHali socho hai kahan pani

barish na agar karti dariya mein rawan pani

bazar mein bikne ko aa jata giran pani

KHud-rau hai agar chashma aaega meri jaanib

main bhi wahin baiTha hun marta hai jahan pani

kal sham parindon ko uDte hue yun dekha

be-ab samundar mein jaise ho rawan pani

jis khet se dahqan ko mil jati thi kuchh rozi

us khet pe dekha hai hakim hai rawan pani

chashme ki tarah phuTa aur aap hi bah nikla

rakhta bhala main kab tak aankhon mein nihan pani

bah jati hai sath us ke shahron ki ghalazat bhi

jarub-kash-e-alam lagta hai rawan pani

bas ek hi rele mein Dube the makan sare

'anwar' ka wahin ghar tha bahta tha jahan pani

(883) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Samt Samundar Hai Har Samt Rawan Pani In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Har Samt Samundar Hai Har Samt Rawan Pani is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Har Samt Samundar Hai Har Samt Rawan Pani for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Har Samt Samundar Hai Har Samt Rawan Pani in PDF.