Tu Jism Hai To Mujhse LipaT Kar Kalam Kar

tu jism hai to mujh se lipaT kar kalam kar

KHushbu hai gar to dil mein simaT kar kalam kar

main ajnabi nahin hun mujhe raund kar na ja

nazren mila ke dekh palaT kar kalam kar

baala-e-baam aane ka gar hausla nahin

palkon ki chilmanon mein simaT kar kalam kar

qaus-e-quzah ke rang mayassar nahin to phir

dariya ki mauj mauj mein baT kar kalam kar

jannat mein ya to mujh ko purana maqam de

ya aa meri zamin mein palaT kar kalam kar

anwar 'sadid' aam sa banda hai us ke sath

miTTi pe baiTh gard mein aT kar kalam kar

(713) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Jism Hai To Mujhse LipaT Kar Kalam Kar In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Tu Jism Hai To Mujhse LipaT Kar Kalam Kar is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Tu Jism Hai To Mujhse LipaT Kar Kalam Kar for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Tu Jism Hai To Mujhse LipaT Kar Kalam Kar in PDF.