Tu Bhi Kar Ghaur Is Kahani Par

tu bhi kar ghaur is kahani par

jo likhi ja rahi hai pani par

ye zamin zar ugaegi ek din

rakh yaqin apni kalba-rani par

us ki be-mehwari pe ghaur na kar

rahm kha us ki be-zabani par

garche mushkil talash thi us ki

ghar tera mil gaya nishani par

un se mani kashid kar apne

naqsh ubhre hain jo bhi pani par

qaem 'anwar-sadid' ne rakkha

irtikaz apni zindagani par

(678) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Bhi Kar Ghaur Is Kahani Par In English By Famous Poet Anwar Sadeed. Tu Bhi Kar Ghaur Is Kahani Par is written by Anwar Sadeed. Read famous Poem Tu Bhi Kar Ghaur Is Kahani Par for youth and Student by Anwar Sadeed. Free Download Tu Bhi Kar Ghaur Is Kahani Par in PDF.