Apne Liye Ek Nauha

achchhi tarah dekh chuka hun

main maqtulon mein nahin

is liye mera shumar qatilon mein kiya jaana chahiye

ye ibaadat-gahen jis ka ghar kahi jati hain

meri ek dost

use talash kar rahi hai

use ab tak ye ittilaa nahin mili

ki wo ek lambe safar par ja chuka hai

wo mar chuka hai

ye raaz to ek pagal ne bhi jaan liya tha

raat to kya

use DhunDne ke liye

din mein bhi

kisi ki koi madad nahin kar sakte

charag

tumhaare pas search-lighten hain

to unhen laga kar dekh lo

shah-ragon ke aas-pas

tez-rau KHush-fahmiyon par sawar

kahan kahan jaoge

ek murde ke ghar mein

dawat par jaane walon ki mezbani

maut nahin karegi to kaun karega

(622) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Liye Ek Nauha In English By Famous Poet Anwar Sen Roy. Apne Liye Ek Nauha is written by Anwar Sen Roy. Read famous Poem Apne Liye Ek Nauha for youth and Student by Anwar Sen Roy. Free Download Apne Liye Ek Nauha in PDF.