Izafi Zaruraton Ke Liye Ek Nazm

har aadmi ki qismat mein

ek na ek saza hoti hai

mere liye har bar

tum se dur rahne ki saza muntaKHab ki jaegi

na-insafi ke pesh-e-nazar

saza ka kaam kisi munsif par nahin chhoDa jaega

lekin is ke bawajud

wo tauhin ka wo notice nahin jari kar sakenge

jis mein wahi honge muddai

wahi honge munsif

hamari shahriyat ko KHam kar diya gaya hai

achchha hua ki hamare dilon ko

aabgine tarashne walon par nahin chhoDa gaya

ek aawara-manush ne

mujhe chaak chalana

aur miTTi mein dil rakhna sikhaya

main har raat apne dil ko

miTTi mein milata aur nai nai tarah gundhta hun

har subh us mulk ke liye

ek naya KHwab Dhaalta hun

jis ke liye jughrafie ki tariKH mein

koi jagah nahin hogi

abhi aasmanon par rahne walon ko

mere jaraem ka ilm nahin hua

warna wo mere sar par

ek aadh aasman zarur gira dete

ehtiyatan

main ne

tumhein in sari baaton

aur apne KHwabon se dur rakha hai

isi liye ab tak

kisi musawwir ya mujassama-saz ne

tumhein koi shakl nahin di

main ne tumhein un KHayalon se bhi dur rakha hai

jin tak koi shaer rasai hasil kar sake

yahan tak ki

main ne tumhein apni rasai se bhi dur rakha hai

taki tumhaare wo libas aaluda na hon

jinhen pahan kar

tum aaine ke samne nahin jati hogi

jinhen pahan kar

tum bagh ki sair

aur bazar jaana bhi mauquf kar deti hogi

main ne

apne liye saza tajwiz karne ka iKHtiyar

kisi ko nahin diya

tumhein bhi nahin

warna tum mere liye qurbat tajwiz kar sakti thin

(869) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Izafi Zaruraton Ke Liye Ek Nazm In English By Famous Poet Anwar Sen Roy. Izafi Zaruraton Ke Liye Ek Nazm is written by Anwar Sen Roy. Read famous Poem Izafi Zaruraton Ke Liye Ek Nazm for youth and Student by Anwar Sen Roy. Free Download Izafi Zaruraton Ke Liye Ek Nazm in PDF.