Kal Walon Ke Liye

hamein un se milna hai

jo kal ke hain

hamare pas wo kal hain

aur un ke darmiyan hai

madum ek aaj

jis ka raqba ek sifr par muhit hai

is sifr mein hai ek duniya

jo kal se aai hai

aur kal ki taraf ja rahi hai

hum is kal par ek qalin bichhate

jo jahannam mein chalne ka mashwara deti hai

main us se puchhta hun

kya us ne wisa lagwa liya hai

mera passport re-new hone gaya hai

agar mere pas

hukkaam ki jadid kanizon ke liye

na-munasib na samjhe jaane wale tohfe hue

to main passport ke baghair bhi

is ke sath jaane ke liye

kashti mein sawar kar diya gaya

aur kashti par pani ka kya udhaar hai

ye to main bhi nahin jaanta

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kal Walon Ke Liye In English By Famous Poet Anwar Sen Roy. Kal Walon Ke Liye is written by Anwar Sen Roy. Read famous Poem Kal Walon Ke Liye for youth and Student by Anwar Sen Roy. Free Download Kal Walon Ke Liye in PDF.