KHwabon Ko Samjhaute Ras Nahin Aate

dil mein ek madum zamane ke

aur ek duniya ke hone ki

ummid liye

aankhon mein patjhaD thame

sakit sard hawa par uDti titli

ruk ja

tham ja

mujhe ye Dar lagta hai

ek din yahi sakit sard hawa

jhakkaD ban jaegi

yahi talwe chumti miTTi

bagule ban kar

tere taaqub mein niklegi

tere narm paron ki dushman

pagal titli

tere KHwab teri duniya hain

lekin ek duniya

tere KHwabon se bahar bhi basti hai

is duniya mein jina samjhauta hai

lekin KHwabon ko samjhaute ras nahin aate

phir bhi tu ne isi hawa par uDna hai

in shaKHon par phul bahut kam ugte hain

lekin tujhe to inhi shaKHon par baiThna hai

tham ja titli

mere dil ki miTTi mein ab phul nahin khilte

lekin jab bhi phul khile

tum pahle phul pe baiThna

mujh mein uDna

jab tak dil chahe

tham ja titli

(660) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwabon Ko Samjhaute Ras Nahin Aate In English By Famous Poet Anwar Sen Roy. KHwabon Ko Samjhaute Ras Nahin Aate is written by Anwar Sen Roy. Read famous Poem KHwabon Ko Samjhaute Ras Nahin Aate for youth and Student by Anwar Sen Roy. Free Download KHwabon Ko Samjhaute Ras Nahin Aate in PDF.