Kya Hona Mumkin Hai

agar tum kisi din kuchh ban jao

yani tum ek harf ban jao

jo ab tak kisi huruf-e-tahajji ka hissa na ho

tu jadliyati maddiyat ke mutabiq kya hogi tumhaari

haisiyat

kya kahenge tumhaare bare mein ahl shariat

kis maqam par rakhenge tumhein ahl-e-tariqat?

kaun si jamhuriyat tumhein qubul karegi

kya suluk karenge tumhaare sath maherin

lissniyat?

kaise tai kiya jaega tumhaare liye koi nam?

kaise muqarrar ki jaegi aawaz?

kya karenge jadidie aur ma-baad-al-jadidie?

zarur tumhaara rishta karane ko koshish ki jaegi

aur is se pahle

tai ki jaegi tumhaari jins

lekin kaise tai ki jaegi tumhaari jins

kya qubul kar sakega tumhein koi lafz?

qubul bhi kar liya

kisi matruk ya na-qabil-e-istimal ne

to kya karegi grammar

kya banega grammar ki kitabon ka?

zarur tumhein jila watan kar diya jaega

zarur kisi din sab ikaTThe honge

aur qatl kar dega tumhein

ijtimai mafad ya qaumi salamti ke pesh-e-nazar

sangsar kar dega

na-jaez aur na-tahqiq hone ke jurm mein

aur shayad tum bhi yahi samjhoge

aaise hone se to behtar hai

na hona

(965) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Hona Mumkin Hai In English By Famous Poet Anwar Sen Roy. Kya Hona Mumkin Hai is written by Anwar Sen Roy. Read famous Poem Kya Hona Mumkin Hai for youth and Student by Anwar Sen Roy. Free Download Kya Hona Mumkin Hai in PDF.