Pagalon Ki Madh Mein

pagalon se nahin

bahut Dar lagta hai, mujhe

normal aur zahin logon se

kuchh bhi kar sakte hain

wo

apni mahbubiyat mein

qahr aur fitne se bhari

KHud-pasandi mein

kuchh bhi soch sakte hain

kuchh bhi chah sakte hain

mansube banana

aur sazishen karna mushkil nahin hota

un ke liye

yaqin rahta hai unhen

kuchh bhi kar sakti hai zehanat

agar mushkil koi war karegi

to Dhaal ban jaegi zehanat

normal

bahut mutassir hote hain un se

un jaisa hona chahte hain

unhi ka sath dete hain

kisi bhi aurat ke bare mein

kuchh bhi soch sakte hain

zahin aur normal

mantiq se chalte hain aur hisab se

ishq nahin kar sakte isi liye

ye baat to sabit nahin

ki ishq

pahle mahbub ke dil mein paida hota hai

aurten ye sab samajhti hain

mardon se kahin ziyaada

ahmaq-tarin lagne wali aurat bhi

in muamlon mein

kahin aage hoti hai kisi bhi mard se

phir bhi

phans hi jati hain be-chaari

phansti chali jati hai

pagalon ko qubul nahin kartin wo

haalanki wahi jaanti hain sab se ziyaada

ishq to kaam hai sirf pagalon ka

nach sakte hain pagal

un ke KHayal mein

yaad kar sakte hain unhen

phulon ko dekh kar

sun sakte hain hawa se un ki baaten

jo un ki taraf se na bhi aai ho

daraKHton ko chalta hua dekh sakte hain

un ke sath

bhari dopahron mein

dhup par hairan ho sakte hain

un ke muqabil khaDa kar sakte hain

dhup aur sae ko pagal

aur shaeri ban sakti hain

un ke bare mein

sirf pagalon ki baaten

(974) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pagalon Ki Madh Mein In English By Famous Poet Anwar Sen Roy. Pagalon Ki Madh Mein is written by Anwar Sen Roy. Read famous Poem Pagalon Ki Madh Mein for youth and Student by Anwar Sen Roy. Free Download Pagalon Ki Madh Mein in PDF.