Aawara Hun Rain-basera Koi Nahin Mera

aawara hun rain-basera koi nahin mera

gali gali karta hun phera koi nahin mera

teri aas pe jita tha main wo bhi KHatm hui

ab duniya mein kaun hai mera koi nahin mera

tere bajae kaun tha mera pahle bhi phir bhi

jab se sath chhuTa hai tera koi nahin mera

jab bhi chand se chehre dekhe bhig gain palken

phail gaya har samt andhera koi nahin mera

ajab nahin koi lahr uThe jo par laga de naw

dard ki dhun mein gae machhera koi nahin mera

koi musafir hi ruk jae pal do pal ke liye

muddat se viran hai Dera koi nahin mera

main ne qadr-e-tirgi-e-shab ab pahchani jab

guzar gai shab hua sawera koi nahin mera

koi nahin hai jis ke hathon zahr piyun mar jaun

bin bajae jae sapera koi nahin mera

(777) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawara Hun Rain-basera Koi Nahin Mera In English By Famous Poet Anwar Shuoor. Aawara Hun Rain-basera Koi Nahin Mera is written by Anwar Shuoor. Read famous Poem Aawara Hun Rain-basera Koi Nahin Mera for youth and Student by Anwar Shuoor. Free Download Aawara Hun Rain-basera Koi Nahin Mera in PDF.